Aur jab ehsaas hua

Socha tha pahad banegey hum,
Par ehasas nahi hua ki  bhatee hawa tey hum.

Socha tha neela aasman banagey hum
Par ehsaas nahi hua ki gujar tha baadal tey hum.

Socha tha ek ped ki jad banegey hum,
Par yeh ehsaas nahi hua ki shaakon se girthey hue pathe tey hum.

Socha tha  sagar tath banegey hum, Par ehsaar nahi hua ki  girtha hua lahaar tey hum.

Socha tha nadi ka naam banegey hum,
Par ehsaas nahi hua ki  behta hua paanee tey hum.

Socha tha din ka roshini banegey hum,
Par ehsaas nahi hua ki  doobtha sooraj tey hum.

Socha tha ghar basayenge hum,
Par ehsaas nahi hua ki  raah ke raahi tey hum.

Socha tha dil mein jagah bana lenge hum,
Par ehsaar nahi hua ki  ajnabee tey  hum.

Socha tha yaad ban jayenge hum,
Par ehsaar nahi hum ki ek bura khwaab tey hum.

Aur jab ehsaas hua ki bhuj tha diya tey hum;
ghooma tha ek parinda ki tarah,
Tho dhiki duniya.
roya tha ek bacche ki tarah,
Tho  Jagi bechainiya.
ek thoota hua insaan bana,
Tho bhari thanhaiya.
ek bhikra hua pehchan liya,
aur rooti parchayiyan..

-sharath

Comments

Popular Posts